Thursday, 26 June 2014

Morning Prayer For Family



 
PRARTHNA

Hey Bhagwan hamare pariwar ke  uddhhar ke lie jo mahaan vibhutiyaan swyam kasht seh kar bhi har pal joojh rahi hai,unke updesho tatha aadesho anusaar hamara aacharan pavitra ho,aisi kripa kijie.Ab tak hamare dwara kiye gaye paapo tahtha pramado ki punravritti na ho.Vikat ,Aarthik tatha anya pratikul paristithiyo k kaaran pareshhan hokar,athwa chhudra manovikaaro ke aadheen hokar,aathwa sankuchit vichaaro se vashibhoot hokar,aalasya , athwa agyaan wash hamaare man me unke prati ayogya vichaar aaye ho,athwa ayogya vichaar hamaare muh se nikle ho,to un sab ke lie,un sab ke prati,mai aap ka ,tahtha un sab ka nishpreh bhao se chama chahata hun.

Hey Jagtaat,Hamare pariwar me sada sukh ,shanti santosh tatha ek dusre ke prati mamata aur aanand  hamesha bana rahe,usi prakaar aapke charano me aatoot sharadha ham sab ke hriday me sada jaagrit rahe.

Unhone socha hua mahaan kaarya hum apne sesh jeevan me pura karne me yashashwi ho sake tatha anya bhi anek satkritya karte rahe.Is prakaar vo mahaan divya alaukik vibhutiyaan hum par sada khush rahe,tahtha aap ki bhi kripa drishti isi tarah bani rahe.

Hey jagtaat pariwar ke pratyek sadasya ko apna apna kartavya karm nibhane ki buddhi dijie.purva janmo ke satkarmo ke anusaar yadyapi hamame se kuch vyakti aaj sukhmay jeevan vyateet kar rahe hai,fir bhi manushya ko agle janamo ki chinta isi janm me karni chahie.Apne is pavitra vachan se aapne sansaar ko jo path padhya hai uske anusaar  wa upkaaro ka badla apkaaro se na ho.
Hey dayanidhaan aisi buddhi aap pariwaar k pratyek sadasya ko dijie.Kewal itni hi dua aapke charano me atyant deen bhao se maang raha hun.

                                                          Subham Bhavatu!!!