“PRARTHNA”
Hey Bhagwan hamare pariwar ke uddhhar ke lie jo mahaan vibhutiyaan swyam
kasht seh kar bhi har pal joojh rahi hai,unke updesho tatha aadesho anusaar
hamara aacharan pavitra ho,aisi kripa kijie.Ab tak hamare dwara kiye gaye paapo
tahtha pramado ki punravritti na ho.Vikat ,Aarthik tatha anya pratikul
paristithiyo k kaaran pareshhan hokar,athwa chhudra manovikaaro ke aadheen
hokar,aathwa sankuchit vichaaro se vashibhoot hokar,aalasya , athwa agyaan wash
hamaare man me unke prati ayogya vichaar aaye ho,athwa ayogya vichaar hamaare
muh se nikle ho,to un sab ke lie,un sab ke prati,mai aap ka ,tahtha un sab ka
nishpreh bhao se chama chahata hun.
Hey Jagtaat,Hamare pariwar me sada
sukh ,shanti santosh tatha ek dusre ke prati mamata aur aanand hamesha bana rahe,usi prakaar aapke charano
me aatoot sharadha ham sab ke hriday me sada jaagrit rahe.
Unhone socha hua mahaan kaarya hum
apne sesh jeevan me pura karne me yashashwi ho sake tatha anya bhi anek
satkritya karte rahe.Is prakaar vo mahaan divya alaukik vibhutiyaan hum par
sada khush rahe,tahtha aap ki bhi kripa drishti isi tarah bani rahe.
Hey jagtaat pariwar ke pratyek
sadasya ko apna apna kartavya karm nibhane ki buddhi dijie.purva janmo ke
satkarmo ke anusaar yadyapi hamame se kuch vyakti aaj sukhmay jeevan vyateet
kar rahe hai,fir bhi manushya ko agle janamo ki chinta isi janm me karni
chahie.Apne is pavitra vachan se aapne sansaar ko jo path padhya hai uske
anusaar wa upkaaro ka badla apkaaro se
na ho.
Hey dayanidhaan aisi buddhi aap
pariwaar k pratyek sadasya ko dijie.Kewal itni hi dua aapke charano me atyant
deen bhao se maang raha hun.
Subham Bhavatu!!!